View Full Version : Shairi... - kuch ashaar
V.I.P.
28th February 2005, 02:27
okay, before everyone is going to open a new thread to post his/her shairy that he/she likes....
Let us start a thread where everyone can share his/her shairi too.
Just one rule/ request, please don't post any shairi that is more for fun.
And if it is your own, please post your own written in a seperate thread, which shoud be named as "My own poetry"- so everyone can take a notice of it, and we are able to judge how it was.
I hope everyone will start posting in this thread.
Fazi
28th February 2005, 02:30
and if his or her own poetry is in english ?
V.I.P.
28th February 2005, 02:31
[b][font=Courier New:1e37ec97ff]agar talaash karoon koi mil hi jaye ga
magar tumhari tarah kaun mujhe chahe ga
tumhain zaroor koi chaahaton se dekhe ga
magar woh aankhain hamari kahaan se laye ga
na jaane kab tere dil par nai si dastak ho
makaan Khali hoa hai to koi aaye ga
main apni raah main deewar ban ke baitha hoon
agar woh aaya to kis raaste se aaye ga
tumhaare saath yeh mausam farishton jaisaa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataaye ga[/font:1e37ec97ff]
V.I.P.
28th February 2005, 02:32
Originally posted by Fazi
and if his or her own poetry is in english ?
hmm, aap kya sochteh hain?
kahr nah chahiyeh yah nahin?
Fazi
28th February 2005, 02:35
I think yes he or she can post her english poetry .. it will be good .. (for me coz i have a few mine in english )
V.I.P.
28th February 2005, 02:43
okay.. so we are managing the poetry section.. :)
Fazi
28th February 2005, 02:48
not we ..
only YOU :)
as i have said already Humpakistani.net's poet .. you are ...
do you have interest in sports too ?
V.I.P.
28th February 2005, 02:54
okay, thanks. :)
not really if then only in football. no cricket or sth else...
but I think that a member who is a big cricket fan, will join this forum soon.
Fazi
28th February 2005, 02:55
Football no problem there is Thrad about sports.. this site is not only for cricket you can share stuff about football also :)
Fazi
28th February 2005, 23:26
Is neend say bhari duniya main
jab koi kisi pay rota hay
lay lay kay naam kisi ka jab
apni aankhon ko dhota hay
na janey kyun teri yaaden
us waqt buhat tarpatee hain
kahti hain mujh per woh royen gi
aur ashkon ki nehar bahaati hain
Main is hi soch main rahta hoon
mujh per kab koi roye ga
yah dard jo hay tanhayi ka
kab yah thak haar kay soye ga
Har simt andhera hota hay
dil khoon kay aansoo rota hay
har lamha dard koi kaantey
dil ki dharkan main bota hay
Zakhmon say hoon main choor buhat
kahney per hoon majboor buhat
ulfat say kyun hoon door buhat
duniya hay kyun magroor buhat?
Is duniya nay sikhlaya hay
jo daulat saath main laya hay
us hi nay sab kuch paaya hay
bas yah shikwa lab pay aaya hay
Jo soorat meray paas na ho
Jo soorat meray paas na ho
daulat dil ki mil jaye buhat!!!
ba kamtar sa ehsaas na ho
Per main bhi kitna nadaan' hoon
yah kah kay chup ho jaata hoon
Kay ek waqt *** woh aaye ga
mujh per bhi koi roye ga ........
V.I.P.
28th February 2005, 23:46
nice one Fazi.. thanks for sharing.
ek merih teref seh...
[b]
Bholna mujhey itna asan nahin hay
Magar suno, namumkin bhi nahin hay
Khizan main jab saray patay
Darahtoon ka sath choor jayain gay.
Jaab sard hwa chalay gi or tum
Hood main seemat jao gay.
Jaab ghazal koi tumhain sunay ga
Jaab de ga koi choopkay say awaz;
Mangnay lago gay jab duaa tum,
Dekon gay hathalion ko apni ghoor say tum
Mujjay dhoondo gay tum un lakiroon main tub tum
Ho gi phir yai ank zara pur-num
Jaab dega na koi sath tumhara,
Honay lagay ga yai dushman zamana,
Ho gay tum tun tanha
Na hoga koi jo sambhaly tum ko,
Tum tootnay lago gay bikharnay lago gay
Ghusa kon sehay ga tumhara?
Dill jab tootay ga hur din hur pul jub
Tub tum jano gay
Haan tabhi tum mano gay
Kay main kon thi?
Magar tub tuk loog mujjay
Pehna kay leja rahain hoon gay;
Tub tum rona nahin' suno,
Hiran tum hona nahin jaan lo
Deko na
Ab tum rotay kion ho?
Ab pachtatay kion ho?
Maat ro na ho udass
Main rahoon gi kahin na kahin
Haan shaid kahin bhi nahin
Mujjai bhoolna asan nahin hay
Magar suno na..
NAMUMKIN bhi to nahin hay na.!

Fazi
28th February 2005, 23:52
Thanks
Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad
Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?
Main jis kay itna kareeb hota
Na paas koi rakeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota? KÄħH
Koi to hota?
V.I.P.
3rd March 2005, 03:03
[b]
Main apni dosti ko,
sehar mein ruswa nahin karta.
Muhabbat mein bhi khartha hoon,
magar charcha nahin karta.
Jo mujhse milnay ajaye main uska,
dil se khadam hoon.
Jo uth ker jana chalhaye,
main useh roka nahin karta.
Jiseh meh chor deta hoon,
phir us ko bhool jatha hoon
phir us ki bast kijanib mur ker dektah nahin
Fazi
3rd March 2005, 07:02
Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay
Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay
Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay
Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay
Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay
Koi To Baat Hia Us Main Faiz
Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
Fazi
7th March 2005, 02:51
dil jalaane kii baat karate ho
aashiyaane kii baat karate ho
ham ko apanii Khabar nahii.n yaaro.n
tum zamaane kii baat karate ho
saarii duniyaa ke ra.nj-o-Gam de kar
muskuraane kii baat karate ho
zikr meraa sunaa to cheeh ke kahaa
kis diivaane kii baat karate ho
haadasaa thaa guzar gayaa hogaa
kisake jaane kii baat karate ho
V.I.P.
7th March 2005, 03:36
the second one is one of my fav.
thx for sharing fazi. :)
V.I.P.
7th March 2005, 19:01
Chaand hi bujhaa dala dil dukhaane waalon ne
kuchh udhhaar nahin rakkha dil dukhaane waalon ne;
hum ne khastagi paaie dil giraftagi paaie
kheyr hum say kya paya dil dukhaane waalon ne?
khoob wazhadaari hai zakhm-e-taaza se pehlay,
hum say haal-e-dil poochha dil dukhaane waalon ne!
Be-qaraar hain aankhen, kese ab lahoo roeiN
khushk kar diya dariya dil dukhaane waalon ne.
Such kaha sada dil ko dil say raah hoti hai
khoob hum ko pehchaana dil dukhaane waaalon ne,
un ki wajh-e-shohrat to talkh guftugu hi thi
kyoon badal liya lehja - dil dukhaane waalon ne
V.I.P.
20th March 2005, 00:12
[b]Dard ki main Inteha daikhna chata hooon
main apna hosla daikhna chaata hoon
apnay liye maut ki sazza daikhna chata hoon
A mere mehboob daikh main kia daikhna chata hoon
hain nishan baki jo tu nai zakham diye hain
main un zakhmon ko rasta hoa daikhna chata hoon
bewafa sai wafa ki umeed kion kar ho iss liye
main khud ko bhi abb bewafa daikhna chata hoon
teri judai main jis tarah tarap raha hoon main
tujh ko bhi issi tarah tarapta hoa daikhna chata hoon
hain mere ki yahi aakhri arzoo abb tau
Dulhan k Roop main saja hoa daikhna chata hoon
V.I.P.
22nd March 2005, 21:51

[b]Teri yaad nay meray dil ko saja rakha hai
teray pyar main sab ko bhula rakha hai
kuch acha nahin legta teri judai kay baad
ek teri yaad ko sinay say laga rakha hai
tera milna to abb aik khawab hi lagta hai
najanay abb kyoon dil ko bhula rakha hai
sab kuch lut gaya hamara teray pyar main
teri yaad ko palkoon main chupa rakha hai
muqadar say miltay hain bichar kay warna
ajj bhi tera naam dil main saja rakha hai
najanay koi nahin basta teray siva ankh main
aik teri tasveer ko dil main chupa rakha hai
Arsalan
22nd March 2005, 23:38
kia baat hai...
V.I.P.
26th March 2005, 03:21
Sab say Chupa kar
sab se chupa kar dard jo woh muskura diya
us ki hansi ne to aaj mujhe rula diya
lehje se uth raha tha har ik dard ka duhan
chehra bata raha tha k kuch ganwa diya
aawaz mein therao tha aankhoon mein nami thi
or keh raha tha k mein ne sab kuch bhula diya
jane kya us ko loghon se thi shikayatein
tanhaiyon ke dais mein khud ko basa diya
khud bhi who hum se bichar kar adhura sa ho gaya
mujh ko bhi itne loghon mein tanha bana diya....
BaDaR
26th March 2005, 03:22
mashAllah mashAllah kia baat hai
Vicky19
27th March 2005, 23:31
WO SHAKS JO ZAMANA SA KHAFA LAGTA HA
HANS KER BOLA TO DUNYA SA JUDA LAGTA HA
Fazi
27th March 2005, 23:42
very nice Muskaan in action :style_emoticons/<#EMO_DIR#>/yes.gif:
V.I.P.
28th March 2005, 18:07
thanks to badar, vicky and fazi for reading my choice.
Abhi wo dard baki hai...
Agar yeh waqt marhum hai
magar kuch waqt lagta hai
kisi ko bhool janey mein
dubara dil basaney mein
abhi kuch waqt lagna hai
abhi wo dard baqi hai
mein kesseh naye ulfat mein apni zaat ko gum kar doon
keh mere jism-o-wajdaan mein
abhi wo fard baki hai
abhi uus shakhs ki muj per
nigah-e-sard baki hai
abhi tou ishq kay rastoon ki muj per gard baki hai
abhi wo dard baqi hai
BaDaR
28th March 2005, 18:32
thanx nice again ::th::
V.I.P.
30th March 2005, 20:57
thanks Arslaan.

~ Zaroori to naheen ~
Un ko bhi hum say waisi hi mohabbat ho - zaroori to naheen
Aik si donoon ki halat ho - zaroori to naheen
Dil ki chahat toh kai khuawb jaga daiti hay
Haan magar sath main qismat bhi ho zaroori to naheen
Meri tanhayan karti hain jineh yaad sada
Un ko BHI meri zaroorat ho- zaroori to naheen
Muskuranay say bhi hotah hain bayan gham-e-dil
Mujh koh ronay ki bhi aadat ho- zaroori tho naheen.
V.I.P.
30th April 2005, 02:55
[b] ~Na Umeedain Kisi Se Rakhtey... To Acha Hota ~
Na Umeedain Kisi Se Rakhtey To Acha Hota
Aitbar Na Kisi Pe Kartey To Acha Hota
Sabaq Daita Hai Zamana Yeh Auron Ko Giraney Ka
Sahara Na Kisi Ko samjhtey To Acha Hota
Yaqeen apni Kamyabi ka kisi Ko Kab Hota Hai
Taqdeer keh Muqabil Na Hotey To Acha Hota
Sochtey The Aitbar Andha Ho Ga Dewana Tum Per
Na Khuwaab Jagtey Main Daikhtey To Acha Hota
Na Chatey Tum Kisi Ko Na Koi Tumheen Poojta
Na achey Kisi Ko Lagtey To acha Hota
Darya Mohabbat Ka Kab Koi Paar Karta Hai Dost
Na Mohabbat Kisi Se Kartey To Acha Hota...
V.I.P.
1st May 2005, 00:27
[b]
~ Us shaks ko...~
Us Shaks Ko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai
Be Dard Sahi Woh Mera Humraaz To Hai
Woh Aaye na Aaye Mere Paas Lekin
Shidat Se Mujhe Us Ka Intezaar To Hai
Abhi Nahi To Kya Hua Mil Hi Jayenge Kabhi
Mere Dil Main Us Se Milan Ki Aas To Hai
Pyaar Ki Gawahi Mere Aansoo Se Na Maang
Barasti Nahi Aankhen Magar dil uddas tu hai
NAIFAI
1st May 2005, 04:31
[quote=Muskaan][b][font=Courier New:31c897cc56]agar talaash karoon koi mil hi jaye ga
magar tumhari tarah kaun mujhe chahe ga
tumhain zaroor koi chaahaton se dekhe ga
magar woh aankhain hamari kahaan se laye ga
na jaane kab tere dil par nai si dastak ho
makaan Khali hoa hai to koi aaye ga
main apni raah main deewar ban ke baitha hoon
agar woh aaya to kis raaste se aaye ga
tumhaare saath yeh mausam farishton jaisaa hai
tumhaare baad ye mausam bahut sataaye ga[/font:31c897cc56]
A beautiful khayal !
Meri barbadi ki daastan sunane se pehlay....Mujhe itna bata jaate chor jane se pehlay....Agar koi shikwa tumne mujh se kia hota.....Main tum ko mana leti rooth jane se pehlay
Ulfat Mein Kabhie Kabhie Yeh Haal Hota hai.....Aankhein Hansti Hain Magar Dil Roota Hai....Maantey Hain Hum Jissay Manzil apni....Humsafer Us Ka Koi Aur Hota Hai
dafan mujh main hain shoorshain kitni...dil ki surat khamoosh waadi hon.........shook say tarka e doosti kar lay... main tere nafraton ka aadi hon
Jab kabhi teri nazar se guzar jaya karte hain...Woh sitare aksar bikhar jaya karte hain...Hum kisi se muhabbaton ka dawa to nahi karte...Haan magar wafa'on pe hum mar jaya karte hain
tuu paas bhii ho to dil beqaraar apanaa hai... ke ham ko teraa nahin intazaar apanaa hai
just a lil try style_emoticons/<#EMO_DIR#>/blush.gif
V.I.P.
1st May 2005, 20:38
nice one...
Sunny420
3rd May 2005, 06:13
Mohabbat na sahi, hum phir bhi jee lete hain
Zindgi zaher hi sahi, hum phir bhi pee lete hain....
Zindgi mein to tumhari aa na sake, ab khwaabon mein chale aate hain
Tum laakh nazrein pher lo sanam, hum phir bhi chale aate hain
i am wondering where is my old one gone? ::verya::
well mainly fazi and muskaan had been contributing so far. il add myself to make it 3. i only know iqbal though so dont know if people are going to like it.
aa gaya an larai main agar waqt-e-namaz
qibla ru ho kay zameen bos hui kom-e-hajjaz
aik hi saf main kharay ho gaye mehmood-o-ayaz
na koi banda raha aur na koi banda nawaz
banda-o-sahab-o-mohtaj-o-ghani aik huay
teri sarkar main pohnchay to sabhi aik huay
phir bhi hum say gila hai kay wafadar nahi
hum wafadar nahi to bhi to dildaar nahi
some others from the jawab-e-shikwa
qom mazhab say hai mazhab jo nahi tum bhi nahi
juzb-e-baham jo nahi mehfil-e-anjum bhi nahi
youn to sayyad bhi ho mirza bhi ho afghan bhi ho
tum sabhi kuch ho batao to musalman bhi ho
V.I.P.
4th May 2005, 01:54
"phir bhi hum say gila hai kay wafadar nahi
hum wafadar nahi to bhi to dildaar nahi "
Mohamed Iqbal kih shairi bohaut achi hain, one of my fav shair.
Thanks for sharing, umeed hain, keh aap aur bhi post kareh geh.
alishujahat
4th May 2005, 02:00
Meray haath main jo Gulaab the
Woh Gulaab saare bikharr gaye
Meri aankh main woh jo khuwaab the
Woh hi khuwaab mere ujarr gaye
Jisse maine maanga tha baarha
Woh hi shaks mujh se bicharr gaya
Mera humsafar mujhe chor ker
Kisi aur simt chala gaya
Jisse saath dena tha ummer bhar
Woh to do qadam bhi na chal saka
V.I.P.
5th May 2005, 00:33

Jisse maine maanga tha baarha
Woh hi shaks mujh se bicharr gaya

Jisse saath dena tha ummer bhar
Woh to do qadam bhi na chal saka
nice one.. alishujahat.
V.I.P.
5th May 2005, 00:37
[b]~bicherneh seh zara pehle ~
bicherneh seh zara pehle
na sochna hargiz
na dena taal us lamhe ko
ke bicherneh ka aik hi lamha
azaab-e-dil-o-jan keh liye kafi hain
suno ager tum faisla ker loh toh
bicherney seh zarah pehleh
na kuch sochna hargiz
ager tum sochneh bethe
to kahin aisa na ho
chashm-o-dil k tufan pay hum
qaboo na rakh paye
bicherney seh zara pehlay hi hum
dunya say bicher jaye
Hum to mail ba karam hain koi saail hi nahi
rah dikhlain kisay koi rah-rawe manzil he nahi
tarbiat aam to hai johar-e-qabil hi nahi
jis say tameer ho aadam ki, yay woh gul h nahi
koi qabil ho to hum shaan-e-qai daytay hain
dhoondnay walay ko dunya bhi nai daytay hain
kis qadar tum pay garan subha ki baydari hai
hum say qab pyar hai haan neend tumhain pyari hai
taba-e-aazad pay qayd-e-ramzan bhari hai
tumhi keh do yahi aain-e-wafadari hai
qaum mazhab say hai mazhab jo nahi tum bhi nahi
jazb-e-baham jo nahi mehfil-e-anjum bhi nahi
tum main hooron ka chahnay wala hi nahi
jalwa-e-toor to mojoon hai moosa(PBUH) hi nahi
Aaj bhi ho jo baraheem(PBUH) ka iman paida
aag kar sakti hai andaz-e-gulistann paida
Ki mohammad(PBUH) say wafa tu nay to hum teray hain
Yay jahan cheese hai kya loh-o-qalam teray hain
khuda tujhay kisi tufan say aashna kar day
kay teray behr ki mojon main iztaraab nahi
tujhay kitaab say mumkin nahi faraagh kay tu
kitaab khan hai magar sahib-e-kitab nahi
uqabi rooh jub baydar hoti hay jawanon main
nazar aati hai unko apni manzil aasmanon main
nahi tera nasheman qasr-e-sultani kay gunbad per
tu shaheen hai basera kar paharon ki chatanon main
V.I.P.
5th May 2005, 02:44
kafie achi hain aasmi, thanks for sharing.
V.I.P.
5th May 2005, 02:44
Sar Jhukaaoge To Patthar Devtaa Ho Jaayega,
Itna Mat Chaaho Use Wo Bewafa Ho Jaayega.
Hum Bhi Dariya Hain Humein Apna Hunar Maloom Hai,
Jis Taraf Bhi Chal Padeinge Raasta Ho Jaayega.
Kitni Sachchai Se Mujh Se Zindagi Ne Keh Diya,
Tu Nahin Mera To Koi Doosra Ho Jaayega.
Main Khuda Ka Naam Le Kar Pee Raha Hoon Dosto,
Zehar Bhi Iss Mein Agar Hoga Dawa Ho Jaayega.
Sab Usi Ke Hain Hawa, Khushboo, Zameen-o-Aasmaan,
Main Jahan Bhi Jaaoonga Us Ko Pata Ho Jaayega.
Rooth Jaana To Mohabbat Ki Alaamat Hai Magar,
Kya Khabar Thi Mujh Se Wo Itna Khafa Ho Jaayega
V.I.P.
5th May 2005, 04:16
Ab arzoo jeene ki nahi, marne ka ghum bhi nahin
rahi to rahi bas ek justaju, umer bhar teri kami sahin
na dost na saathi na pyaar, jaa rahe hai lekar kuch nahin
Ey zindagi tujhse jo mila, tera hi hain wo humara nahin
kaise kahenge sabko alwida, paas mere waqt bhi nahin
Ab arzoo jeene ki nahin, marne ka ghum bhi nahin
Vicky19
5th May 2005, 04:17
m really great poetry muskaan :style_emoticons/<#EMO_DIR#>/strongbench.gif:
V.I.P.
5th May 2005, 04:18
Thanks :-)
muskan ur amazing......so as others :style_emoticons/<#EMO_DIR#>/wave.gif:
TrueLove
5th May 2005, 15:39
Very nice, Muskan, it was really good.
Daal do Zakhamo par chadar, To je sayaid daag chup jayega.
Paradne na bhi do duup is par, To je tuche hi daard bana jayega.
V.I.P.
5th May 2005, 15:40
Thanks True Love and Sonia.
haazar
8th May 2005, 02:34
First of all I like to congartulate you guys for starting a nice thread like this one and also that the choice of poetry posted in it is just exceptional.
I myslef am not a very good juggler of words so the piece of poetry I am going to post is from a very little known, young Poet of Paksitan (Arshad Iqbal AArash), I met him during my stay in Italy. I hope you wil like it.
Pyaas jab imtahan say guzri
ik seel -e- rawan say guzri
lamakan ya makan say guzri
zeest qaid-e-garan say guzri
hadasoon nay tujhe salami di
zindagi tu jahan, jahan say guzri
yeh chaman to nahi, mera dil hai
ae khizan tu khan say guzri[font=Times New Roman:d2c315f68d] [/font:d2c315f68d]
V.I.P.
8th May 2005, 03:00
First of all, Welcome to Humpakistani.net
Thanks for your congratulations and liking our posts here.
I hope that we can read more poems by you soon.
ThePakistaniMuslim
10th May 2005, 00:12
Na kissi ki aankh ka noor hoon, na kisi k dil ka qarar hoon
jo kissi k kaam na aa sakay, main wo eik Musht e Ghubar hoon
mera rang roop bigar gia, mera Yaar mujh say bichar gia
jo chaman khizan say ujer gia, main ussi ki fasl-e-bahar hoon
Buhadar Shah Zafar
V.I.P.
12th May 2005, 00:45
Dil rah gaya hai Dil main Muhabaat nahin rahi
Afsana rehe gaya hai Haqeeqat nahin rahi
Yun Dil hua huvadus-e-peham se choor choor
Ab arz-e-mudah ki bhi taqat nahin rahi
Ae dosto - Nibhao ge Aien-e-dosti
Ab yeh fareeb khaneh ki himmat nahin rahi
Ae qalb-e-gham shanas zara tu he kuch bata
Ye kiya hua ke Dard main lazat nahin rahi
Yaad ah rahe hain tarak-e-taluk ke bawajood
Kyu kur ke kahun unse muhabbat nahin rahi
Ik dil ke wastay hain hazaron soubtain
Shyed jahan main Kaif 'musarat' nahin rahi
V.I.P.
12th May 2005, 01:35
one of my fav.
[b]
Kiseh pukah reh Hum is Hujoom-e-Gham Meh
Keh Sub Hi Hamaray Aazamaye Huay Hain
Tum Hi Ne Humain Kar Dia Tanha
Warna Hum To Taalluq Nibahye Huay Hain
Dheemay Dheemay Aansoo Dil Se Girte
Keh Hum Apna Gham Sub Se Chupaye Huay Hain
Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain
Hum Kareh Ab Kisi Per Kaisay Bharosa
Keh Zamane Se Dhokay Khaye Huay Hain
Khushion Se Bhi Ab To Lagta Hay Darr
Is Qadar Zakham Hum Ne Khaye Huay Hain
Ab Dast-e-Shanasai Na Barhayain Gay Hum
Keh Zamane Bhar Se Thukrai Hue Hain
ThePakistaniMuslim
12th May 2005, 05:19

QUOTE

Un Shano Tak Ab Rasai Na Rahi
Jin Shano Pe Aansoo Bahaye Huay Hain [/b][/quote]
awww, thats so touching, good choice
Wo jo Aasooda-e-Sahil hain inhain kia maloom
ab k moaj aaye to paltay gi kinaray lay kar
Aesay lagta hay k har Mosam-e-Hijran main bahar
Hont rakh deti hay shakhoon pay tumharay lay kar
V.I.P.
13th May 2005, 01:00
Thanks, ThePakistaniMuslim.

tere ishq kih intahaa chaahataa hoon
meri saadagi dekh kyaa chaahataa hoon
sitam ho ki ho vada-e-behijaabi
koi baat sabr-aazamaa chahata hoon
yeh jannat mubarak rahe zahidon koh
ki main aap kah samanah chahata hoon
koi dam kah mehmaan hoon aye ahal-e-mahafil
chirag-e-sahar hoon, bujhaa chahata hoon
bhari bazm meh raaz kih baat kah dih
badah be-adab hoon, sazaa chahatah hoon.
M.Iqbal
BaDaR
13th May 2005, 01:02
wa wa wa ::clap:: ::clap::
nice post muskaan jee
Originally posted by Muskaan
Thanks, ThePakistaniMuslim.

tere ishq kih intahaa chaahataa hoon
meri saadagi dekh kyaa chaahataa hoon
sitam ho ki ho vada-e-behijaabi
koi baat sabr-aazamaa chahata hoon
yeh jannat mubarak rahe zahidon koh
ki main aap kah samanah chahata hoon
koi dam kah mehmaan hoon aye ahal-e-mahafil
chirag-e-sahar hoon, bujhaa chahata hoon
bhari bazm meh raaz kih baat kah dih
badah be-adab hoon, sazaa chahatah hoon.
M.Iqbal
very nice Ghazal muskaan .. one of my fav
Sunny420
13th May 2005, 01:07
very nice muskan ::th::
V.I.P.
13th May 2005, 01:54
Thanks to badar, Fazi and arif...

Tum hanse the mere aadaab-e- wafa peh ek din
Aaj ruk ker mera andaaz-e- wafa bhi dekho
Garq khar dengi tumhen chashmae labraiz meri
Doobne denge nahin phir bhi kinara dekho
Hum badalte nahin alfaz tumhaare jaise
Ishq tumse hai magar mujhko hila ker dekho
Ek duniya hai to phir ghum ye bahut se kyon hain
Dil mae utro zara ahsaas dila ker dekho
Humko tanhaye meh bhi bheer nazar aati hai
Dekhna ho to zara khwab sajah ker dekho
Mere likhne se zamaane ko bada jabr sahi
Yeh to alfaaz hain mit te hain mita ker dekho
V.I.P.
14th May 2005, 03:53
[size=12][b]Yaaro - kisi qatil se kabhi pyar nah maangoh
Apneh hi gale khe liye talvaar nah maangoh
Ghir jao geh tum apneh masiha kih nazar seh
Mar kar bhi ilaaj-e-dil-e- bimaar nah maangoh
Khul jaye gah is terah, nigaahon kah bharam bhi
Kanton se kabhi phool ki mahakaar nah maangoh
Sach baat pehr milatah hai sadaa zahar kah pyaalah
jeenah hai to phir jeneh ke izhaar nah maangoh
Us cheez kah kya zikr joh mumkin hi nahin hain
Seharaa meein kabhi saayaa-e-diivaar naa maangoh.
(seharaa=dessert) by Qateel Shifai
Sunny420
14th May 2005, 03:54
very nice ::th::
kuch loog jenhain bhool kar hum khoosh nahin hooway
kuch zakham hain bhar jatay hain maloom nahin kyon
har subh tujhay jee say bhulanay ka hay kya wadah
har sham mukar jatay hain maloon nahin kyo
Sunny420
14th May 2005, 04:00
fazi yaar very nice, whats up with u 2day? why sad poems?
Princess_NAINA
14th May 2005, 04:20
every body nice shair muskam fazi and every body else vicky and u too mr arif ::verya:: nice ashars
Princess_NAINA
14th May 2005, 04:27
DIL KA HAL BATAOON KAISA HAY
JAISAY KHIZAAN K MOUSAM MEIN
JAISAY ZURD PATOON KA GIR JANA
JO KABHI POCH LIYA KISI MEHARBAN NAY
BATAOO TU KIYA HOVA
KAISAY CHUPA PAOON GA MEIN
AANKH KA AANSOON SAY BHAR JANA
MEIN HAIRAAN HOON
K MEIN ZINDA HOON
ITNA BHI AASAAN NA THA
ZINDAGI MEIN MOUT SAY GUZAR JANA
KOI MUJHAY SAMAITAY GA TU KAISAY
KISIS NAY DAIKHA HE NAHEEN
MERI ZAAT KA KIRCHIYOON MEIN BIKHAR JANA
V.I.P.
14th May 2005, 04:42
Fazi &Naina: Have a look at the thread Some Ashaars, not so long just few lines"
moving it ....
Princess_NAINA
14th May 2005, 04:44
Originally posted by Muskaan
Fazi &Naina: Have a look at the thread Some Ashaars, not so long just few lines"
moving it ....
MUSKAN APPA WHAT R U TRYING TO SAY DIDN'T GET IT ???
ANYWAYS I STOP :style_emoticons/<#EMO_DIR#>/wavecry.gif:

edit:
awwwwwwwwww, pyari seh naina nah..
there is another thread, where you can post your poems as well!
Just the difference is, this section you won't find just few sentences..
Dusreh thread meh please post khar doh nah.. bhaar bhaar merge khar keh hi taqh gaye hoon... :-(
Muskaan
syedmali
14th May 2005, 09:00
YAHA TO DIL KA YE AALAM HAI KIA KAHOON
BHULA SAKA NAHE WO SILSALA JO THA HE NAHI
WO EK KHAYAL JO AWAZ TAK GAYA HE NAHI
WO EK BAAT JO MAIN KEH NAHIN SAKA TUM SE
MUJHEE HAIN YAAD WO SAB JO KAHEEN HUA HE NAHI
AGAR YE HAAL HAI DIL KA TO KOI SAMJHAY
TUMHAIN BHULANA BHE CHAHOON TO KIS TARHA BHOLON
K TUM TO PHIR HAQEAT HO KOI KHAWAB NAHI
ThePakistaniMuslim
14th May 2005, 18:07
Kabhi kabhi in jins bhari ratooon main
jab
sub
awazain so jati hain
Aadhi neend ki ghayel si madhoshi main
eik khawab anokha jagta hay
mein dekhta hoon
Gird ki iss chadar say udher
jo meray uss k beech tani hay
wo bhi tanha jaag raha hay
Amjad Islam Amjad
V.I.P.
18th May 2005, 01:37
Gham-e-aashiqi seh kah do raah-e-aam tak nah pohenche
mujhe khauf hai yeh tohmat mere naam tak nah pohenche
main nazar seh pee raha tha to yeh dil neh baduaa dih
tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak nah pohenche
naye subah par nazar hain magar aah yeh bhi dar hain
ye sahar bhi raftaa raftaa kahin shaam takh nah pohenche
vo navaa-e-muzamahil kya nah ho jis meh dil kih dhadkan
vo sadaa-e-ahale-dil kyaa jo avaam tak nah pohenche
unhen apneh dil khi khabreh mere dil se mil rahi hain
main joh unseh ruth jao toh payam tak nah pohenche
ye adaa-e-beniaazi tujhe bewafa mubarak
magar aisi beruKhi kya ke salam thak nah pohenche
jo naqaab-e-ruKh utha dih toh yeh qaid bhi lagah dih
uthe har nigaah lekin koi baam tak na pohenche
wahi ik khamosh nagma hain jaan-e-hasti
joh zubaan tak nah aye joh qalaam takh na pohenche
Shakeel Badayuni
very nice muskaan
here by one of your fav poet
tang aa chuke hain kash-ma-kash-e-zindagii se ham
Thukaraa naa den jahaaN ko kahiin bedilii se ham
maayuusii-e-ma'al-e-mohabbat naa puuchhiye
apanon se pesh aaye hain begaanagii se ham
[ma'al=consequence]
lo aaj hamane toD diyaa rishtaa-e-ummiid
lo ab kabhii gilaa naa karenge kisii se ham
ubharenge ek baar abhii dil ke val-vale
go dab gaye hain baar-e-Gam-e-zindagii se ham
gar zindagii mainn mil gaye phir ittafaaq se
puuchhenge apanaa haal terii bebasii se ham
allaah re fareb-e-masahiiyat ke aaj tak
duniyaa ke zulm sahate rahe Khaamoshii se ham
[masahiiyat=God's will]
ham Gam-zadaa hain laaye kahaaN se Khushii ke giit
denge wahii jo paaye.nge is zindagii se ham
V.I.P.
18th May 2005, 20:45
it is by Sahir Ludhianvi.. one of my fav. poetsafter Shifai... and a nice choice Fazi.
Thanks.
V.I.P.
19th May 2005, 20:45
Ham pe ilzaam yeh lagate hain
Bewafa kehe keh woh bulate hain
Dost b a n t e h the zindagi bhar keh,
Ab sareeh aam woh satate hain
Jinko chaha khud seh zeadha,
Zakhm gahare wohi lagaate hain
Hum koh kahate the aftaab apna,
Woh mere hi diye bujhaate hain
Ashq aankhon main lab sileh apne,
Duniya keh liye aaj bhi muskuraateh hain.
dil dhayakane kaa sabab yaad aayaa
vo terii yaad thii ab yaad aayaa
[sabab=reason]
aaj mushkil thaa sambhalanaa ai dost
tuu musiibat main ajab yaad aayaa
din guzaaraa thaa barii mushkil se
phir teraa vaadaa-e-shab yaad aayaa
[shab=night]
teraa bhuulaa huaa paimaan-e-vafaa
mar rahenge agar ab yaad aayaa
[paimaan=promise]
phir kaii log nazar se guzare
phir koii shahar-e-tarab yaad aayaa
[tarab=happiness]
haal-e-dil ham bhii sunaate lekin
jab vo ruKhsat hue tab yaad aayaa
baiTh kar saayaa-e-gul main 'Nasir'
ham bahut roye vo jab yaad aayaa
V.I.P.
20th May 2005, 21:30
nice one fazi,.. meric collection kahin chori toh nahin khar lih.. :-P
Keep it up! you are doing better post by post..
Originally posted by Muskaan
nice one fazi,.. meric collection kahin chori toh nahin khar lih.. :-P
Keep it up! you are doing better post by post..
haha .. maybe :)
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zaKhm kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain
us dariche mein bhi ab koi nahin aur ham bhi
sar jhukaaye huey chupchaap guzar jaate hain
raastaa roke khaDi hai yahi uljhan kabse
koi poochhe to kahen kyaa ki kidhar jaate hain
naram aavaaz, bhali baaten muhazzab lahje
pahli baarish mein hi ye rang utar jaate hain
dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zaKhm kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain
V.I.P.
21st May 2005, 18:49
"dard ke phool bhi khilte hain bikhar jaate hain
zaKhm kaise bhi hoN kuchh roz mein bhar jaate hain "
true....
thanks for sharing fazi.

yaaro kisi qatil seh kabhi pyar nah mangoh
apane hi galeh keh liye talvaar nah mangoh
ghir jaogeh tum apne masiha kih nazar seh
mar kar bhi ilaaj-e-dil-e-bimaar nah mangoh
khul jayega is tarah nigahon kah bharam bi
kanton seh kabhi phool kih mahakaar nah maangoh
sach baat peh milta hai sadaa zahar kah pyaalaa
jina hain to phir jiine ke izahaar na maangoh
us cheez kah kya zikr joh mumkin hi nahin hain
seharaa mein kabhi saayaa-e-divaar nah maangoh

'Qateel Shifai'
ThePakistaniMuslim
21st May 2005, 23:44
Good job Fazi and Muskan. Muskan does bring some shairs with comprehensive Urdu.........good stuff
ThePakistaniMuslim
21st May 2005, 23:52
Chehray pay meray Zulf ko, Phailao kissi din
Kia roz garajtay ho, Baras jao kissi din
V.I.P.
22nd May 2005, 02:06
Thanks The Pakistani Muslim.

~ Koi Afsoos nahin~
Zindagi tujh koh jiyaa hain - koi afsoos nahin
Zahar khud meh neh piya hain - koi afsoos nahin
Meh neh mujrim koh bhi mujrim nah kaha duniya mein
Bas yahini jurm kiya hai - koi afsoos nahin
Meri qismat meh likhe the yeh unhin keh ansoon
Dil keh zakhmon koh siya hain - koi afsoos nahin
Abh gire sang ki shishoon kih ho baarish
Abh kafan odh liya hain koi - afsos nahin
[b]hazaaron Khvaahishen aisii ki har Khvaaish pe dam nikale
bahut nikale mere armaaN lekin phir bhii kam nikale
nikalanaa Khuld se aadam kaa sunate aaye hain lekin
bahut beaabaruu hokar tere kuuche se ham nikale
muhabbat men nahiin hai farq jiine aur marane kaa
usii ko dekh kar jiite hain jis kaafir pe dam nikale
Khudaa ke vaaste pardaa na kaabe se uThaa zaalim
Kahiin aisaa na ho yaaN bhii vahii kaafir sanam nikale
KahaaN maiKhaane ka daravaazaa 'Ghalib' aur kahaaN vaaiz
par itanaa jaanate hain kal vo jaataa thaa ke ham nikale
TauseefM
24th May 2005, 02:27
nice poems muskan and fazi bhai
ThePakistaniMuslim
24th May 2005, 03:56
Razoon ki tarah utro meray dil main kissi shab
Dastak pay meray haath ki, khul jao kissi din
V.I.P.
27th May 2005, 04:11
Thanks TauseefM.

Kab kon kisi ka hota hain,
sab jhootay rishtay naatay hain
sab dil rakhnay ki batain hain
sab asli roop chupatay hain
ikhlass say khali log yahan
nokhtoon kay teer chalatay hain
ik bar nighahoon may akar
phir sari umer rulatay hain
vo diay hain jis nay ashk hamain
hum us ko bhool hi jatay hain
V.I.P.
30th May 2005, 02:08
sazaa kah haal sunaye jazaa ki baat karen
Khuda mila hoon jinhen who Khuda kih baat karen
unhen pata bhi chalen aur who Khafa bhi nah hoon
is ehatiyaat seh kya maza kih baat karen
humaree ahad kih tahazeeb mehn qabaa hi nahin
agar qaba ho to band-e-qabaa kih baat karen
har ek daur kah mazahab naya Khuda laata
karen to ham bhi magar kis Khuda ki baat karen
wafaa_shiyaar ka_ii hain koi haseen bhi toh hoon
chalo phir aaj usi bewafa kih baat karen

V.I.P.
30th May 2005, 17:11
Dard seh mera daman bhar deh Yah Allah
phir chahe deewana khar deh Yah Allah
meh neh tujhse chaand sitaare kab mange
roshan dil bedaar nazar deh Ya Allah
Suraj si ik cheez toh Hum sab dekh chuke
Sach-much kih abh koi sahar deh Yah Allah
Yeh dharti keh zakhmon phar marham rakh deh
Yah mera dil patthar kar deh Yah Allah
by Qateel Shifai
V.I.P.
5th June 2005, 04:12
Ek ansoon hai Hum,
ajeeb dastan hai hamari,
kuch neh navaza moti se toh
kisine kaha paani,
kuch ne kaha hum anmol hain,
toh kisi keh liye nah humara koi mol hai.
Jaane kya kismat hain Hum neh paye
joh har waqt mili hum koh tanhai,
kitne din saath rahe in aankhon mein phir kyun chalak pade tum tanha aye harjaye…
BaDaR
5th June 2005, 04:15
Wo jo hum mili bhi tou kiya miley wohi dooriyaan wohi faasle
na kabhi hamaare qadam barhe na kabhi tumhaari jijhak gaye
Meri daastaan ka urooj tha teri narm palkoun ki chaoun men
mere saath tha tujhe jaagna teri aankh kesai jhapak gayi
tere haath se mere hont tak wohi intezaar ki pyaas hai
mere naam ki jo sharaab thi kahin eaaste men chalak gaye
V.I.P.
29th June 2005, 16:26

meri ankhon mein zara jhank ke dekhe to koi
kitni masoom tamannaon ne dam tor diya
kiya khabar tum ke kabhi teri tamanna aae dost
ashq ban ker meri palkon pe ubhar aae gi
abb kahan jaen baharoon ki tamanna le ker
dil ka har zakham mahekta hai gulistan ki tarah
phir meri dunya mein woh hulchal machane aae hain
phir se khuwabaida tamannaen jaagane aae hain
ban sanwar ker mughe samjhane na aao warna
phir tamanne dil machal jaya kare gi
tamann hai dekhoo jee bhar ke laiken
tabassum zair lab hi kho gaya hai
iss qadar khae hain dhoke mein ne raah-e-shauq mein
abb se rehbar ki tamanna hai na rehzin ki talash
yeh aur baat hai ke na ho juraat sawaal
aaya to hoon hujoom tamanna liye hoi
haazar
10th September 2005, 19:25
[align=center]
Khwaab aankhon main sajae kab hain
ratjage hum nay gnwae kab hain
phool ugte hain abhi gulshan main
hum bayaban main samae kab hian
aap aiwan main pareshan kyun hain
tar tar sarkon pe hum aae kab hain
kyun na seene say lagaon in ko
dukh yeh mere hain, parae kab hain
jin ghumoon say howa main kundan
aise ghum tum nay uthae kab hain
haazar
10th September 2005, 19:34
[b][font=Times New Roman:a4b59ea022]Mujhe aksar sitaroon say yehi awaz aati hai
kisi ke hijar main neendain gnwa kar kuch nahee milta
jigar ho jae ga chalni, yeh aankhain khoon rooain gi
Wasi befaiz logoon say nibha kar kuch nahee milta[/font:a4b59ea022]
me_me
15th October 2005, 20:59
Mohabbat Khaas Hoti Hai
Kuch Khaas Dilon Mein Hoti Hai
Ik Khaas Nazr Ki Khaas Inayat
Kuch Khaas Lamhon Mein Hoti Hai
Din Aur Raat Se Be Nayaz
Her Lamha Ujala Karti Hai
Lafzon Ki Mohtaj Nahin Hai
Jazbon Ki Talib Hai Yeh
Khaas Dilon Ka
Khaas Tarana
Ban K Labon Pe Sajti Hai
Mohabbat Khaas Hoti Hai
Khaas Zaro0rat Mandon Ki
Khaas Zaro0rat Hoti Hai
Be Loss
Be Gharz
Shaffaf Chandni Ki Manand
Pakeeza Mohabbat hOti Hai
Ay Kash !
K Her Dil Khaas Rahe
Aur Yunh!
Mohabbat Abad Rahe.........!!!!
me_me
17th October 2005, 04:00
Na janay koun sa ansoo kisi se kiya kehday..
Hum is khayal se nazrain jukhain behtay hain
gar toot bhi jain to gila tak nahi kartay
tofan me dob jatay hen khamoshion kay sath
koi hat na day ham sada bhi nahi kartay
stupidres
18th October 2005, 02:28
Great stuff.
V.I.P.
18th October 2005, 17:36
Tum mere dil may aesay basay ho
Jesay keh dil ki darkhan banay ho
Tumko meri jaan khabar hi nahi he
Mere liye tum kiya bangaye ho
sindhiguy
18th October 2005, 18:18
style_emoticons/<#EMO_DIR#>/handshake.gif lets do this .. my poetry
Us Say Poocha Mein Ne Bin Tere JiyonGa Kaisay
Us Say Poocha Mein Ne Bin Tere JiyonGa Kaisay
Jaltay Chirag Ko Bujha Ker Kaha Aise ....
jab tera hukum mila tark-e-mohabbat kerdi
dil magar iss pe woh dharka ke qayamat kerdi
Kabhi Yun Bhi Aa Meri Ankh Main
Ke Meri Nazar Ko Khabar Na Ho
Mujhe Aik Raat Hi Nawaaz De
Magar Us Ke Bad Sahar Na Ho..
Very Hard Literature I Knw But Sorry
style_emoticons/<#EMO_DIR#>/dance.gif
me_me
18th October 2005, 19:43
ye roop ka kundan dehka hua
ye zism ka chandan mehka hua
ilzaam na dena fir muJhko
ho jaaye agar naadani si
V.I.P.
19th October 2005, 14:36

Main teri ankhon se nahi
In may doob janey se darti hoon
Main teri muhabat se nahi
Teri intaha se darti hoon
Main raat ki tareeqi se nahi
Is tareeqi main basi apni tanhaiee se darti hoon
Mujhe bohat chahat hai tujhe paney ki
Liken tere door janey se darti hoon
V.I.P.
9th November 2005, 01:37
Mujh seh Ziyda aghar tumeh koi chahe
mere haathoon se apna haath churaa lena
apne daman se meri umiidein
mere sajdoon se apna sarr uthaa lena...
MUJH SE ZIYADA AGAR TUMEIN KOII CHAAHE TO...
torh dena piyaar ki zanjiirein
mithaa lena apne haathon se lakeerein
meri aankhon se apne khwaab
khwaaboo se meri tasweer mitaa lena
magar...shart yeh hai... Mujh seh Ziyda aghar tumeh koi chahe~...
nodesorted
11th November 2005, 23:57
bandh len haath pe seney pe saja len tum ko
ji main aata hai tavez bana len tum ko
V.I.P.
15th November 2005, 22:44
Gila
kufar karta hoon khuda se jo gila karta hoon
rooz peeta hoon to marne ki dua karta hoon
mere halaat juda to nahi duniya se magar
kiyun main anjaan sa khud se he mila karta hoon
aai shama mujhko shikayaat nahi tujhse koi
ye to main khud hoon jo hasrat main jala karta hoon
youn to tareeki kisi ko bhi nahi raas mager
meri qismat hai andheron main chala karta hoon
mujhko gulshan ki baharoon se bhala kia laina
main wo gul hoon jo khazaon main khila karta hoon
snomi
22nd November 2005, 19:44
I didn't noticed this thread before .
bahut achii shairii hai iss thread main
thanks a lot,
i would be posting few ashaar's here very soon
thanks a lot
snomi
28th November 2005, 17:31
SAPNE
Aansu nahi thamte hain aankhon main abhi tak
Jaate hue rota woh mujhe chorr gaya tha
Armano ki Duniya ke anmol se sapne
pal main woh mere saamne sab torr gaya tha
Jaan deta tha meri her baat pe lekin yun hi
Besabab Duniya se meri rukh morr gaya tha
Din ki tanhayi ka gham, raaton ki uddasi hamraah
Saare ghamon se rishta mera jorr gaya tha
Aey kaaaaash koi jaa ke us saay poochey
Yahan kis ke sahare pe mujhe choor gaya tha
vBulletin® v3.7.4, Copyright ©2000-2009, Jelsoft Enterprises Ltd.