Myspace Proxy | Mobile Phones | Verizon Ringtones | Debt Consolidation | Problem Mortgage
Main nay toh "sirf" ... [Archive] - GeoPakistani Forums

PDA

View Full Version : Main nay toh "sirf" ...


HassaN
27th February 2005, 21:19
Message was originally posted by "muskaan"

-----------------------

"Main nay to tumse pyar kiya tha,

dil jaan apna tum pe nissar kiya tha,

choro gi na saath mera saari zindagi,

wafa ka tumne bhi ikraar kiya tha,

hamne to tumhari rahon par phool bichaye thay,

oun rahon kay kaante apne haathon se uthaye thay,

magar ey-bewafa tune meri wafa ka kya sila diya,

ghaer ki khatir mujhko dil se bhula diya,

main koun hoon tumhara jo mujhe yaad karo tum,

apnay do aansoo bhi mujh par barbaad karo tum,


is dil main jo basa tha pyar tera,

mai nay bhi us dil ko hi tor diya,

jo gali teray ghar tak jaati thi,

us gali say hee mai nay moo mor liya,

badnaam na ho jaaye tu dunia main kaheen ,

isliye tera naam lena hee chor diya,

jab kabhi bhi yaad aayegi tumhari,

samjhain gay kabhi tumhe chaha hee nahi,

jab bhi tum rahon main nazar aao gi,

sochain gsy tumhe dekha hee nahi

tu jahaan bhi rahay sada khush rahay,

tujhay dil se main bhula raha hoon,

teray pyar ki jo haseen yaadain hain dil main,

un yaadon ko louta raha hoon,

tumhari bewafai ka kya charcha karoon,

apni wafa pay sharma raha hoon,

mujhay tumhari bewafai say koi shikwa nahi,

main tumhari zindagi say hee ja raha hoon

Shahid
28th December 2007, 00:50
great! really nice work! cant belive nobdy replied yet